Wednesday, October 28, 2009

"Tumhe Humse hi Mohabbat Rahi Hogi"

Jubaan par aa gaya mera naam kyun,
kuch na kuch to baat rahi hogi,
aise hi nahin hoti ye aankhien nam--2
Ki tumne meri yaad kari hogi....

Teri hasi sunta hoon yahan par mein,
wo teri chudiyon ki khanak bechain karti hai,
teri pajeb chanak rahi hai yahin kahin
tujhe har pal me mehsus karta hoon,
hum to kahenge ibadat isko--2
jamane ki najron me ye aashqui rahi hogi...

Hoth na thirke ho bhale hi,
aankhon se humne sab keh diya ,
bhale ijhar na kiya ho tumne kabhi--2
janta hoon,
"Tumhe humse hi mohabbat rahi hogi"...

Hai mukaddar shalabh ka,
shama me jal kar khak ho jaye,
mita de khud ko pyar ke liye,
pyar me apna naam kar jaye,
pagalpan kaho sayad ise tum--2
mere liye diwangi rahi hogi...

bhale ijhar na kiya ho tumne kabhi
janta hoon,
"Tumhe humse hi mohabbat rahi hogi"...

Bhool aaya tha tumhe,
har cheez se nata toda tha,
teri yaad tak dafan kar di thi seene me kahin,
tujhe bhulne ke liye me khud ko bhi bhula tha,
fir aati hai khwabon me kyun,
kyun tera didar hota hai,
tujhe bhul na paya me --2
sayad dil me mere kahin,
teri thodi yaad rahi hogi...

bhale ijhar na kiya ho tumne kabhi--2
janta hoon,
"Tumhe humse hi mohabbat rahi hogi"...



1 comment:

  1. hey wonderful poems..aj phir achanak ssari poems nazron k saamne aa gayi ... jo tu MA-108 me sunaya karta tha......

    ITS GR8, KEEP IT UP......... - ANIL

    ReplyDelete